| | | | Pahli Moharram aey momino jis maah meiN maare gaEy Sarwar, uski hai yakum aaj jis maah meiN sAr naNge phiriN Zainabe muztar, uski hai yakum aaj mashkeezah Sakina ka liye naher pa aake, shaanoN ko kata ke jis maah meiN maare gaEy Abbase dilaawar, uski hai yakum aaj ba'ade rufaqaa qatl ke maidaan meiN aake,barchi ki ani se jis maah meiN maare gaEy hamshakle Payambar, uski hai yakum aaj jangaah meiN haathoN pa ShahEy hAr-do_sara ke, lUb khushk dikha ke jis maah meiN besheer sidhaare suEy Kausar, uski hai yakum aaj jis maah meiN sAr tAn se juda ho gaya shAhh ka, afsoas ki hai ja jis maah meiN tAr khooN se hua Shimr ka khanjar, uski hai yakum aaj sAr peeto mohibboN ke ShAhe kaun o makaaN ki, Sultaane ZamaaN ki jis maah meiN paamaal hui laashe mutahar, uski hai yakum aaj Zahra-wa Rasoole Madani, Haidere safdAr, aur hazrate Shappar jis maah meiN be_chAin rahe qab ke andEr, uski hai yakum aaj kyuN Fikr* Moharram mein bhi kya dil ko ho farhat, ek gona masarrat jis maah meiN maiN jaauNga qabre ShAhhe deen par, uski hai yakum aaj | | |
| |
|
|
The INTERNET now has a personality. YOURS!
See your Yahoo! Homepage.
No comments:
Post a Comment