Quran Interactive Recitations - Click below

Monday, May 25, 2009

[shia_strength] BiBi Fatima:s.a:




Haye Baad-e-Rasool Ummat Nay Fatima
 
 

Haye baad-e-Rasool ummat nai Fatima ko bohat sataya hay.
Us kay ghaar ko jalanay aayei hain, jis kay ghaar main Quran aaya hay.
1)  Bharay darbaar main musalmaan nay dono jhutla diye hain laal us kay
     Jaanay kaisa salook kaar dala pal may ho gayai safaid baal us kay
     Girr kay bayhosh ho gaye Zahra, haal Zainab ko jab sunaya hay.
2)  Boli Fizza issay rulao na jhirkiyan do na kuch toh sharam karo
     Dekh jis ko Nabhi kharay rehtay us ko darbaar main khara na karo
     Royi jab ladli Muhammad ki, sara darbaar muskaraya hay.
3)  Teri hi maa ka naam hai Zainab aur Shabbir hai sabar tera
     Teray aansu Sajaad kay aansu, aur Sakina main hai asaar tera
     Teray bachon nay Bibi teri tarha, zulam say kay yeh deen bachaya hay.
4)  Jo ajar syedan nay hay paaya kaisay koyi lagaiay andaaza
     Jab musalmano nay kiya humla yun laaga Fatima ko darvaza
     Zakhmi pehloon say paak bibi nay, markay bi haath na uthaya hay.
5)  Na Hassan daar hai koyi mehshar ka aur nah khauf hai jahanum ka
     Hum azadaron ko to bus Bibi aasara hay bohat teray ghum ka
     Kasam Ghazi ki khush naseeb hay woh, jis kay dil main yeh ghum samaya hay.
 
 
Kesay Darbaar Main Gayi Hogi, Ay Nabuwat Ki Abroo Zahra.
 
 

Kesay darbaar main gayi hogi, ay nabuwat ki abroo Zahra.
Hasray hay tamaam kalma goh, karti ro kaar jo guftagu, Zahra.
1)  Jo masayab Batool par aayay, din te partay to raat ho jaati,
     Karti jo badua kabhie Zahra, katam yeh qayanaat ho jaati,
     Baad baba kay na sakoon paaya, kaisai jeeti rahee hay tu,  Zahra.
2)  Teray Shabbire nay Karbal may, dheen bachanay ko saar kataya hain,
     Teri sunnat adda ki Zainab nay, khutba darbaar mai sunaya hain,
     Tu sahaabi ke samnay royi, voh sharabi ke rubaru, Zahra.
3)  Kabhie Yasrub ki pakh basti main, kabhie Karbal ke hee biyaba'n hay,
     Kabhie Kufay ki tang galiyon main, aur kabhir Shaam walayn zindaan main,
     Deen ki sarfarazi ko har dum, kaam aya tera lahu, Zahra.
4)  Yeh toh saab raviyon nay lika hay, hashar main jab Batool aayai gi,
     Khoon bhara kurta paakh betay ka, bazoo Abbas bay vi laiay gi,
     Matami jo Hussain ka hoga, usko karday gi surakhru, Zahra.
5)  Yeh vo bibi hay jiskay bachon ko, saray nusranino maana tah,
     Hy darbaar may musalman nay, inki azmaat ko nah pechana tah,
     Chun ke tehreer ki subi tukray, dekhti rokay charsu, Zahra.
6)  Jo tera ghaar jilanay aaya hay, voh toh janat may ja nahin sakda,
     Jo teray ghaar te rohdiya hay, kabhie usko dosak jila nahin sakda,
     Uski baqshish assan nahin hogi, jo bhi hoga tera adhu, Zahra
.

 
 
                                                     


New Email addresses available on Yahoo!
Get the Email name you've always wanted on the new @ymail and @rocketmail.
Hurry before someone else does!

__._,_.___
Recent Activity
Visit Your Group
Give Back

Yahoo! for Good

Get inspired

by a good cause.

Y! Toolbar

Get it Free!

easy 1-click access

to your groups.

Yahoo! Groups

Start a group

in 3 easy steps.

Connect with others.

.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment

Blog Archive