Mujrae khalq mai in ankhon nai kiya kiya dekha
Par kahin sibt-e-peghambar sa na aaqa dekha
Mujrae khalq mai
Mai nai dekha alam-e-shah ko alooda-bahon
Mai nai neezay pai sar-e-dilbar-e-zahra dekha
Mujrae khalq mai
Mai nai dekha ali Asghar ka gala khoon mai tar
Mai nai abbas ko reeti pai tarapta dekha
Mujrae khalq mai
Ik gathri shah-e-din pusht pai layay us mai
Mai nai tukray huay qasim ka sarapa dekha
Mujrae khalq mai
Hayay kiyon ho na gayin koor kai in ankhon nai
Qaid khanay mai sakeena ka janaza dekha
Mujrae khalq mai
Boli yeh zainab-e-muztar kai khuda khair karay
Raat ko khuab mai uryan sar-e-zahra dekha
Mujrae khalq mai
Ja kai zainab nai madeenay mai kaha sughra sai
Kahon kis monh sai kai pardees mai kiya kiya dekha
Mujrae khalq mai
Zulm aay mujrae Sajjad nai kiya kiya dekha
Ghar luta, qaid huay, baap ka lasha dekha
--
Best Regards,
Syed Raheel Naqvi
Trying To Build Society based on Peace and Justice
The one who love Imam e zaman(a.t.f.s) must be prepared to struggle and
labour his self, his pen and his wealth in the way of Imam e
zaman(a.t.f.s)
I remember the words of Imam (a.s), that we are responsible for the
duty, and not for the result. A warm smile washes away the tension of
confusion, as I thank Allah for the presence of my friend, whom Allah
may protect, and guide
IMAM E ZAMANA (a.f.t.s) Bless you And All Your Family those help others
and learn islam.
Syed Mohamad Masoom Abidi
No comments:
Post a Comment