Bismillahir Rehmanir Raheem
Assalam Alaikum Wa rehmath Ullahi Wa Barkatahu
" Badnaseeb "
Ek Dafa Hakeem Apne navjawan Bete Ko Fajr Ki
Namaz Keliye Jagata Hai Jab Woh Masjid Ki Taraf Nikalte Hain Toh Saare Alam Par Ek Ajeeb Sannata Chaya Hua Hota Hai
Beta Apne Baap Ke Sath Jamat se Namaz Padhta hai
Jamat Me Namaziyoun Ki Tedaad Naa Ke Barabar Hoti Hai
Namaz Ke Baad Dono Ibadat Aur Zikr Allah Me Waqt Guzarte Hain
Ishraaq Ki Namaz Padhkar Baap Bete Dono Masjid Se Bahar Nikalte Hain
Toh Duniya Saari Jaag Rahi Hoti Hai
Har Taraf Har Shaqs Apne Aap me Masroof Nazar Aata Hai
Yeh Manzar Dekh Kar Navjawan Ko Bohut Dukh Hota Hai
Aur Woh Kehta Hai Abbu Jaan
Dekhein Kitne Badnaseeb Hain Yeh Log
Duniya Ki badi Fikr Hai Magar Aaqirat Ki Koi Fikr Nahi Namaz Ke Waqt Neend Nahi Chord Sakte
Magar Ek Ghante Baad Duniya Kamane Kaise Gharoun Se Nikal Aaye Hain
Yeh Sunn Hakeem Ne Apne Bete Se Kaha
Tu Inn Tamaam Logoun Se Zyada Badnaseeb Hai
Is Se Behtar Tha Ki Tu Namaz Hi Naa Padta
Tu Ne Namaz Padhkar Allah Ki maqlooq Ki Gheebat Ki Hai Aur Usski Maqlooq Par Maghroor Hua Aur Unn Tamaam Ko Apne Se Kamtarr Samjha
Tera Kya Qiyaal Hai Allah Aisi Ibadat Qabool Karega
Jisko Karke Tu Usski Maqlooq Par Maghroor Bane Aur Unko Apne Se Kamtar Samjhe
Allah Jisko Chahe Jannat Me Daqil Karde
Chahe Ek Mamooli Neiki Hi Kyun Naa Ho
Allah Chahe Toh ussko Bhi Jannat Me Daqqool Ka Sabab Bana De
Aur Chahe Umr Bhar Ki Kamayi Kyun Naa Ho
Agar Dil Me Khushpasandi Aur Doosroun Par
Nafs Ki bartari hai Toh Woh Insaan Ko Wahan Pohencha Sakti Hai Jiski Koi Tawaqo Nahi Rakhta
Hum Kisi Ko Nadnaseeb Ya Badbaqt Kaise Keh Sakte Hain
Hosakta Hai Usski Mamooli Neiki
Allah Ke Haan Maqbool Ho
Yeh Bhi Hosakta Hai Mout Se Pehle Woh Touba karke Hum Se Zyada Muttaqi Bann Jaye
Har Bure Aur Galat Alfaaz Se Parhez Kijiye
Jo Shayed Humare Nazdeek Mamooli Ho Magar
Wahi Gunah-E-Azeem Me Shumaar Hojaye
Allah Subhana Wa Talah Hum Sabko Neik Toufeeq Aata farmaye Aur Neiki Aur Sunnat Ke Raaste Par Chalne Ki Toufeeq Aata Farmaye
Ameeeeeen Yaa Rabbul Alameeeeen
Aap Sabki Duaoun Ki Talib
Mrs Rubina Yasmeen
Trying To Build Society based on Peace and Justice
The one who love Imam e zaman(a.t.f.s) must be prepared to struggle and
labour his self, his pen and his wealth in the way of Imam e
zaman(a.t.f.s)
I remember the words of Imam (a.s), that we are responsible for the
duty, and not for the result. A warm smile washes away the tension of
confusion, as I thank Allah for the presence of my friend, whom Allah
may protect, and guide
IMAM E ZAMANA (a.f.t.s) Bless you And All Your Family those help others
and learn islam.
Syed Mohamad Masoom Abidi
No comments:
Post a Comment