Quran Interactive Recitations - Click below

Monday, January 18, 2010

[shia_strength] Mukalima

 

"hawa k perday mein kon hai jo charaagh kee law say khelta hai,
          ko'ee to ho ga,

jo khil'at-e-intesaab pehna k waqt kee ro say khelta hai,
          ko'ee to ho ga,

hijaab ko ramz-e-noor kehta hai or parto say khelta hai,
          ko'ee to ho ga",

"ko'ee nahee hai,
kaheen nahee hai,
ye jo khush-yaqeeno k khush-gumaano k wahimay hen jo her sawalee say be'at-e-e'tebaar letay hen,
os ko under say maar detay hen",

"to kon hai vo jo loh-e-aab-e-rawaan pe sooraj ko sabat kerta hai or baadal uchhaalta hai,
jo baadalon ko samandaron per kasheed kerta hai or batn-e-sadaf mein khursheed dhaalta hai,
vo sung mein aag, aag mein rung, rung mein roshnee k imkaan rekhnay walaa,
vo khaak mein soorat, soorat mein harf, harf mein zindagee k saamaan rekhnay wala,
nahee ko'ee hai,
kaheen ko'ee hai,
ko'ee to o ga",

--
Iftikhar Arif
 


__._,_.___
.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment

Blog Archive