Quran Interactive Recitations - Click below

Tuesday, January 12, 2010

[shia_strength] Hussain! tum nahee rahay tumhara ghar nahee raha...

 

Hussain ('a)! tum nahee rahay tumhara ghar nahee raha,
magar tumharay b'aad zaalimon ka dar nahee raha,

Madeena-o-Najaf say Kerbala tek aik silsila,
idhar jo aa gaya vo phir idhar udhar nahee raha,

sadaa-e-isteghaasa-e-Hussain ('a) k jawab mein,
jo harf bhee raqam huwa vo be-asar nahee raha,

safen jameen to Kerbala mein baat khul k aa ga'ee,
ko'ee bhee hela-e-nifaaq kaargar nahee raha,

bes aik naam ... Un ('a) ka naam or Un ('a) kee nisbaten,
juz Un k naam k phir kisee ka dehaan umr bhar nahee raha,

ko'ee bhee ho kisee taraf ka ho kisee nasab ka ho,
jo Tum say munharif huwa vo mu;tabar nahee raha,

--
Iftikhar Arif
 


__._,_.___
.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment

Blog Archive