Quran Interactive Recitations - Click below

Monday, January 18, 2010

[shia_strength] dil kehta hai aik musafir or bhee aana hai ...

 

vohee pyaas hai vohee dasht hai vohee gharaana hai,
mashkeezay say teer ka rishta bohot puraana hai,

subha saweray run perna hai or ghamsaan ka run,
raaton raat chalaa jaa'ye jis jis ko jaana hai,

aik charaagh or aik kitaab or aik ummeed asasaa,
is k b'aad to jo kuch hai vo sab afsaana hai,

daryaa per qabzaa thaa jis ka os kee pyaas azaab,
jis kee dhaalen chamak rahee theen vohee nishaana hai,

kasa-e-shaam mein sooraj ka sar or awaaz-e-azaan,
or awaaz-e-azaan kehtee hai farz nibhaana hai,

sab kehtay hen or ko'ee din ye hangama-e-dehr,
dil kehta hai aik musaafir or bhee aana hai,

aik jazeerah os k aagay peechay saat samandar,
saat samandar paar suna hai aik Khazaana hai,

--
Ifitkhar Arif
 


__._,_.___
.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment

Blog Archive