Quran Interactive Recitations - Click below

Monday, July 12, 2010

[shia_strength] Fw: Kafir agar hai hum to Musalmaan tum bhi nahi-- A Non muslim message to Muslims

 

Great poem !
I liked the last line
 
Hum bhi jannat main rahein gey tum agar ho jannati
 Warna hazrat jaan lo na tum jannati na hum jannati


--- On Sat, 10/7/10, Mohammad Asif Mannan <mamannan@saudioger.com> wrote:

From: Mohammad Asif Mannan <mamannan@saudioger.com>
Subject: Kafir agar hai hum to Musalmaan tum bhi nahi-- A Non muslim message to Muslims
To: "Afzar Shabab Khan" <ashabab@saudioger.com>, "Arif Imran" <aimran@saudioger.com>, "afroz alam" <alam_afroz7@yahoo.co.in>, "Ahmad, Firoz X" <firoz.ahmad@aramco.com>
Date: Saturday, 10 July, 2010, 4:28 PM

 

GHAIR-MUSLIM KA PAIGHAAM MUSLIM QAUM KE NAAM
Ek hi prabhu ki pooja hum agar karte nahi
Ek hi darbaar pe sar aap bhi dharte nahi
 
Apni sajda-gaah devi ka agar isthaan hai
Aapke sajdo ka markaz bhi to kabristaan hai
 
Apne devtaaon ki ginti hum agar rakhte nahi
Aap bhi mushkil-kushaaon ko to gin sakte nahi
 
Jitne kankar utne shankar ye gar mashhoor hai
Jitne murde utne sajde aap ka bhi dastoor hai
 
Apne devi devtaaon ko hai agar kuchh ikhtiyaar
Aapke waliyon ki taaqat ka nahi hai kuchh shumaar
 
Waqt-e-mushkil hai naara agar jai bajrang bali
Aap ko dekha lagate naara ya haider ali
 
Leta hai avtar prabhu apna gar har vesh main
Aapne samjha khuda ko Mustafa ke bhes main
 
Jis tarah hum bajate hain mandir main ghantiyan
Tarbaton pe dekha bajate aap ko taaliyaan
 
Hum bhajan karte hain gaa kar devtaaon ki khoobiyan
Aap bhi kabron pe gaate jhoom ke qawwaliyaan
 
Hum chadhate hain buton pe doodh ya paani ki dhaar
Aap dekha chadhate murgh Bakre, chaadar shaandaar
 
Bod ki pooja hum karein humko mile naar agar
Aap poojein kabr ko, kyonkar mile jannat main ghar
 
Moorti patthar ki poojein gar to hum badnaam hain
Aap sung-e-naqsh-e-paa poojein to niko-naam hain
 
Kitna milta julta mera aap se imaan hai
Aap kehte hain humko ke ye be-imaan hai
 
Aap mushrik, hum bhi mushrik, muaamla jab saaf hai
Jannati tum, dozakhi hum, ye koi insaaf hai
 
Shirkiya aamaal se gar hue ghair-muslim hum
Phir yehi aamaal kar ke kaise rahe muslim tum
 
 Hum bhi jannat main rahein gey tum agar ho jannati
 Warna hazrat jaan lo na tum jannati na hum jannati
The information in this e-mail is confidential and it is intended solely for the addressee. Access to this e-mail by anyone else is unauthorized. If you are not the intended recipient, please delete the e-mail and destroy any copies of it, any disclosure, copying, distribution is prohibited and may be considered unlawful. Contents of this e-mail and any attachments may be altered, Statement and opinions expressed in this e-mail are those of the sender, and do not necessarily reflect those of Saudi Oger LTD.

__._,_.___
Recent Activity:

Trying To Build Society based on Peace and Justice
The one who love Imam e zaman(a.t.f.s) must be prepared to struggle and
labour his self, his pen and his wealth in the way of Imam e
zaman(a.t.f.s)
I remember the words of Imam (a.s), that we are responsible for the
duty, and not for the result. A warm smile washes away the tension of
confusion, as I thank Allah for the presence of my friend, whom Allah
may protect, and guide
IMAM E ZAMANA (a.f.t.s) Bless you And All Your Family those help others
and learn islam.
Syed Mohamad Masoom Abidi
MARKETPLACE

Stay on top of your group activity without leaving the page you're on - Get the Yahoo! Toolbar now.


Get great advice about dogs and cats. Visit the Dog & Cat Answers Center.


Hobbies & Activities Zone: Find others who share your passions! Explore new interests.

.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment

Blog Archive