Quran Interactive Recitations - Click below

Saturday, May 22, 2010

[shia_strength] Madh-e-Zehra ['a]

 


Ba_Khuda Haakima-e-kaun-o-makaan hein Zehra

Dahan-e-Aaya-e-Qur'aan ki zabaan hein Zehra

Misra-e-Hazrat-e-Chishti mein nihaan hein Zehra

Deen hein Shabbir to Shabbir ki maan hein Zehra

Haq ki tableegh mein peghaam mein kia rakkha hai

Ye jo hat jaaen to Islam mein kia rakkha hai



Lab-e-Peghambar-e-aakhir ka wazeefa Zehra

Chashm-e-Qur'aan se jo dekho to saheefa Zehra

Ismat-o-iffat-o-hikmat ka khazeena Zehra

Abd-o-ma'bood ke ma_bain waseela Zehra

Is waseeley ki agar raah_numaai na miley

Khud Rasuulon ki dua'on ko rasaai na miley



Merey ajdad ne bakhshi hai aqeedat mujh ko

Soney deta hi nahi jazba-e-midhat mujh ko

Aey Khuda bakhsh de ilham ki daulat mujh ko

Surkhuru honay na de gi meri ghurbat mujh ko

Madh-e-Zehra ka mein unwaan kahaan se laaun

Lafz miltey nahi Qur'aan kahaan se laaun



Kirk Kausar mein bhigo_luun to qaseeda likkhuun

Shehed alfaaz mein gholuun to qaseeda likkhuun

Gohar-e-fikr jo roluun to qaseeda likkhuun

Mein bhi Qur'aan sa boluun to qaseeda likkhuun

Jab ye mumkin hi nahi hai to bhala kia likkhuun

Yehi behtar hai faqat Fatima Zehra likkhuun



Teri tauseef kisi taur se mumkin hi kahaan

Tu hai khatuun-e-Jinaan, betey hain sardar-e-jinaan

Tera Shauhar hai Wali, baap Rasool-e-Do_jahaan

Jiskey tukrron pe palaa deen wo Khadeeja teri maan

Jis ko ab bhi tera irfan nahi hosakta

Wo munafiq hai musalman nahi ho sakta



Ishq Tauheed hai, Tauheed ka irfan hai ye

Ishq iqrar-e-Nabuwwat hai to eeqan hai ye

Ishq hai khunki-e-dil, khuun ka dauraan hai ye

Ishq eeman hai, eeman ki pehchan hai ye

Apne eeman ko tazabzub se mubar'ra na kia

Wo kaheen ka na raha jis ne tabar'ra na kia



Haaey kia dar hai dar-e-Bint-e-Shahanshah-e-Umam

Ye sakhawat, ye ataaen, ye shifa'at, ye karam

Ye hein Salman-e-Muqaddas, ye Suleiman-e-Hasham

Ye bulandi, ye buzurgi, ye falak, aur ye hum

Sar jhukaatey hein to azmat ka safar lagta hai

Sar uthaatey hein to qausain se sar lagta hai



Ik nishaan is ki bulandi ka sadaa-e-Takbeer

Khutba-e-bagh-e-Fidak is ka jalaal-e-taqreer

Is ka lehja hai Ali, is ki zabaan hai Shabbeer

Jaanib-e-Karb-o-Bala dekh, jihalat ke aseer

Sura-e-Kahf mein russ ghol rahi hai Zehra

Nok-e-neza se abhi bol rahi hai Zehra



Mohr-e-Angusht-e-Wilayat pe nageena tera

Malik-e-Mulk ki daulat hai dafeena tera

Turbaton mein jo nihaan hai wo khazeena tera

Karbala teri Najaf tera Madeena tera

Riqqa-o-Mash'had-o-Kashan-o-Halab terey hein

Aaasman jitney zameenon pe hein wo sab terey hein



Shah-e-kan'aan se nikalney ka hunar jaantey hein

Aesey qatrey jinhein Yusuf bhi gohar maantey hein

Kisi mufti ko na fatwey ko ye gardaantey hein

Apni manzil ko musafir merey pehchaantey hein

Farsh-e-Majlis pe yahaan hein ke wahaan hein Zehra

Merey Ashkon ko pataa hai ke kahaan hein Zehra



Farz-e-tehzeeb-e-aqeedat ko nibhaana warna

Ik ri'aaya ki tarha sar ko jhukaana warna

Azmat-e-Maadar-e-Hasnain bataana warna

Be_ijaazat dar-e-Zehra pe na jaana warna

Haq ne bakhshi hai jo tauqeer wo jaa sakti hai

Malak-ul-Maut! tujhe maut bhi aa sakti hai


-- Bilal Kazmi

    Lucknow (India)



__._,_.___
Recent Activity:
MARKETPLACE

Stay on top of your group activity without leaving the page you're on - Get the Yahoo! Toolbar now.


Get great advice about dogs and cats. Visit the Dog & Cat Answers Center.


Get real-time World Cup coverage on the Yahoo! Toolbar. Download now to win a signed team jersey!

.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment

Blog Archive