Quran Interactive Recitations - Click below

Tuesday, April 13, 2010

[shia_strength] TOWNSHIP, LAHORE: REPORT OF 12.4.2010

 

Township Lahore main 12.4.2010 ko hone wale anti-Shia muzahire, jis main SHIA KAFIR SHIA KAFIR k naaray buland kye gye aur media ko bhi yehi kaha gya k Shia'n-e-Haider-e-Qarrar yahan pr Ghunda gardi ki hui hai aur Sunni bhaion ko rehne nahi dete. Muzahireen ne muqami Zuljanah gaah ko jalane ki bhi koshish ki. 


Is muzahire ko Geo, Duniya, Royal aur bohat se channels ne pure zor-o-shor se dikhaya aur coverage di.  

Jis k jawab main hamari taraf se derj ki jane wali application aur 15 per chalai jane wali calls ko nazar andaz kr k Police ne hamare hi 5 no jawano ko arrest kr liya jo k abhi tk pollice ki tehwil main hain un per zati noiyat ka case No. 324-325 ki FIR enter kr k abhi tk unhe thane main band ker rakha hai aur unki arrest entry bhi nahi ki gai tak unki zamanat ho sake aur Intezamia pressure daal rahi hai k Sulah karo aur maafi nama likho werna in larkon ki zamanat nahi ho sakti aur in larkon ko jail ho gi.  

Lekin afsos is baat ka hai k Anjuman-e-Nusrat-e-Abbas (Reg.) Township Lahore jo keh Markazi Imambargah Kashana-e-Abbas aur Township k momineen ki wahid numainda organization hai is k jawab main na khud koi action nahi liya aur na hi kisi aur Shia-Tanzeem ko lene diya.  

Aaj 2ra din guzarne k baad bhi hamare momin nojawan Ghairqanooni tor per Police Station main band hain aur jinho ne yeh sb karwai ki aur momineen k khilawaf propaganda kya woh sar-e-aam ghoom rahe hain.  

Tamam Millat-e-Jafria se darkhuwast hai k woh is k khilaf action lain aur is uthte huye najaiz Shia-Sunni fasad ko khatam krne main hamari madad karain. Aur woh log jo Zati ana k liye millat ko badnam krte hain in k khilaf action liya jaye.  


__._,_.___
Recent Activity:
MARKETPLACE

Stay on top of your group activity without leaving the page you're on - Get the Yahoo! Toolbar now.


Welcome to Mom Connection! Share stories, news and more with moms like you.


Hobbies & Activities Zone: Find others who share your passions! Explore new interests.

.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment

Blog Archive